On India winning the world cup 2011

Shehzade Mere Bharat Ke

JAB UTRAY SHEHZAADE MERE BHARAT KE MAIDAAN-E KHEL MEIN
TO ZAMEEN LAGI KAMPNE HUA AIK SHOR US MAIDAAN MEIN

ABHI KHADAM BHI NA PARDA THA PEHLA US MAIDAAN MEIN
KE KANPNE LAGE DUSHMAN KE HAATH UNKAY HI HAATH MEIN

KEHNE LAGE VOH, KIA KAREN HUM AISAY VAAR KE?
JAWAAB KAISE DAIN UNKAY HATYAAR KAY?

NAAM-E SACHIN 0 SEHWAAG JO BAJA UNKE KAANON MEIN
HUA HOSH GUM KAISE KAISE NAMVAR GAIND BAAZON KE

LE AAYA DHONI JO PAYAALA DUNIYA SE JEET KAR
KEHNE LAGE PADOSI, HOTE HUM BHI HINDUSTAAN MEIN

MAAR KE AIK AISA CHEKKA US MAIDAAN MEIN
UTARA MERE JAWAAN NE KHANJAR SENA-E DUSHMANAAN MEIN

LETE HO NAAM ZAHEER O MUNAAF, YOUSUF PATHAAN KA
KAUN EHMAQ HAI JO KAHE GA, NAHIN ABAD MUSALMAN HINDUSTAN MEIN.

HINDU HO YA MUSALMAAN BATAON EHLE MEHFIL TUM
AAJ KIYA RANG HAI KHOON -E JIGAR KA MITTI -E HINDUSTAN MEIN

PHIR BANDHI JO PAGDI HARBHAJAN NE AISAY SHAAN SE
KEHNE LAGA SAARA JAHAAN, HAI YEH KIA BAAT HINDUSTAAN MEIN


ABUL ASAD